Songs For The Heart

Tuesday, October 31, 2006

My Urdu Song: Naee Subha

Naee Subha
by A. Arsalan
(c) All Rights Reserved.

Ek naee subha
Ka intezaar hai
Ek naee jaga
Kee talaash hai

Tham jaaega
Yay toofaan
Bharosa yay hai
Guzar jaiga

Zaalim ka sar
Jhuk jaiga
Kamzoroan say
Mohabbat kareingay
Hamaray loge

Khulay aasmaan, kay neechay baithay hain aur
Jo mil gaee hai zubaan toa, hamd kartay hain aur
Diloan mein mohabbat kay raaz bhartay hain aur
Insaaniyat kee khaatir larrtay hain, ab sabhee

Ek naee subha
Ka intezaar hai
Ek naee jaga
Kee talaash hai

Tham jaaega
Yay toofaan
Bharosa yay hai
Guzar jaiga

Zaalim ka sar
Jhuk jaiga
Kamzoroan say
Mohabbat kareingay
Hamaray loge

Khulay aasmaan, kay neechay baithay hain aur
Jo mil gaee hai zubaan toa, hamd kartay hain aur
Diloan mein mohabbat kay raz bhartay hain aur
Insaaniyat kee khaatir larrtay hain, ab sabhee

0 Comments:

Post a Comment

<< Home